jashn thā aish-o-tarab kī intihā thī maiñ na thā
yaar ke pahlū meñ ḳhālī merī jā thī maiñ na thā
us ne kab barḳhāst ai dil mahfil-e-me.arāj kī
kis se pūchhūñ raat kam thī yā savā thī meñ na thā
maiñ taḌap kar mar gayā dekhā na us ne jhāñk kar
us sitamgar ko aziiz apnī hayā thī maiñ na thā
va.ada le letā ki khilvāna na mujh ko Thokareñ
ālam-e-arvāh meñ jis jā qazā thī maiñ na thā
sarf kartā kis ḳhushī se jā ke us meñ apnī ḳhaak
kyā kahūñ jis din banā.ī karbalā thī maiñ na thā
muñh na khul saktā na hote ham-kalām un se kalīm
umr bhar hasrat hī rahtī baat kyā thī maiñ na thā
le ga.ī thī mujh ko hasrat jānib-e-ḳhud-raftagī
jis taraf ko manzil-e-bīm-o-rajā thī maiñ na thā
dil ulaT jaatā mirā yā dam nikal jaatā mirā
shukr hai jab lan-tarānī kī sadā thī maiñ na thā
lāla-o-gul ko bachā letā ḳhizāñ se ai 'sharaf'
baaġh meñ jis vaqt nāzil ye balā thī maiñ na thā