luTāte haiñ vo bāġh-e-ishq jaa.e jis kā jī chāhe
gul-e-dāġh-e-tamannā luuT laa.e jis kā jī chāhe
charāġh-e-yās-o-hasrat ham haiñ mahfil meñ hasīnoñ kī
jalā.e jis kā jī chāhe bujhā.e jis kā jī chāhe
kasī ma.ashūq kī koī ḳhatā maiñ ne nahīñ kī hai
satāne ko zabardastī satā.e jis kā jī chāhe
ba-hal shauq-e-shahādat meñ kiyā hai ham ne ḳhuun apnā
hamāre shauq se purze uḌaa.e jis kā jī chāhe
do-ālam meñ nahīñ ai yaar mujh sā shefta terā
mohabbat yuuñ jatāne ko jatā.e jis kā jī chāhe
ḳhushī o nā-ḳhushī mauqūf hai apnī hasīnoñ par
hañsā.e jis kā jī chāhe rulā.e jis kā jī chāhe
sadā.eñ surḳh-rūī detī hai ganj-e-shahīdāñ meñ
lahū kā meñh barastā hai nahā.e jis kā jī chāhe
jo ho jā.egā parvāna charāġh-e-husn kā us ke
karegā naam raushan lau lagā.e jis kā jī chāhe
ajā.ib lutf haiñ kū-e-tavakkul kī faqīrī meñ
ḳhudā.ī hai yahāñ dhūnī ramā.e jis kā jī chāhe
koī ġhuncha na pahuñchegā tire husn-e-tabassum ko
sar-e-maidāñ chaman meñ muskurā.e jis kā jī chāhe
jagah us sham.a-rū ne dī hai parvānoñ ke lashkar ko
sar-e-maidāñ chaman maiñ muskurā.e jis kā jī chāhe
pashemāñ ġhuncha-o-gul hoñge mere zaḳhm-e-ḳhandāñ se
hañse jī chāhe jis kā muskurā.e jis kā jī chāhe
atā kī nahr-e-gulshan us ne apne ishq-bāzoñ ko
ijāzat dī yahāñ nikhre nahā.e jis kā jī chāhe
ḳhushī ho ho ke ḳhud sayyād kahtā hai anādil se
bahār aa.ī huī hai chahchahā.e jis kā jī chāhe
na dekheñge kisī betāb ko vo aañkh uThā ke bhī
kaleje ko masose tilmilā.e jis kā jī chāhe
mareñge us pe kalma paḌh ke us kā jaan ham deñge
ḳhudā.ī bhar meñ ham ko āzmā.e jis kā jī chāhe
ajab ḳhushbū hai gul-daste meñ shauq-o-zauq ke us kī
karegā vajd pairāhan basā.e jis kā jī chāhe
duā-e-maġhfirat tum do utāre qabr meñ koī
paḌho talqīn tum shāna hilā.e jis kā jī chāhe
'sharaf' dam toḌte haiñ ik parī-rū kī judā.ī meñ
ajab aalam hai un kā dekh aa.e jis kā jī chāhe