Agha Hajju Sharaf

raha karte hain yun ushshaq teri yaad o hasrat mein

Agha Hajju Sharaf

Lucknow, Uttar pradesh, India

1812-1887
rahā karte haiñ yuuñ ushshāq terī yaad o hasrat meñ
base rahte haiñ jaise phuul apnī apnī nik.hat meñ
khichā husn-e-vafā ho kar jo ye tasvīr-e-vahdat meñ
ḳhudā kā nuur shāmil ho gayā insāñ kī sūrat meñ
nahīñ hai lazzat-e-duniyā o mā-fīhā jo qismat meñ
ḳhudā-ma.alūm hissa hai mirā kis ḳhvān-e-ne.amat meñ
safā.ī-ruḳh baḌhī aisī huā ā.īna hairat meñ
javānī meñ nazar aane lagā muñh us kī sūrat meñ
phalūñ phūlūñgā maiñ duniyā se jā kar bāġh-e-jannat meñ
azal se parvarish hotā huuñ maiñ gulzār-e-rahmat meñ
mahall-e-ishq meñ jo ḳhuun mushtāqoñ kā bahtā hai
huā kartī haiñ rañg-āmeziyāñ us kī imārat meñ
karo aisī adā.eñ ham se ham tasvīr ho jaa.eñ
raheñ ham aur tum ik jaañ do qālib ho ke ḳhalvat meñ
milī hai merī qismat se mujhe ne.amat tavakkul kī
jo marġhūb-e-ḳhudā haiñ vo maze haiñ us kī lazzat meñ
ḳhudā.ī vajd kartī hai jahāñ maiñ chahchahātā huuñ
hazāroñ meñ huuñ ik bulbul tire gulzār-e-qudrat meñ
namāz-e-pañjgāna meñ bhī har jā zikr usī kā hai
tashahhud meñ azaañ meñ sajde meñ niyyat meñ raka.at meñ
machal jaane par us nā-faham ke rahm us ko aayā hai
liyā hai mere tifl-e-ashk ko dāmān-e-rahmat meñ
dil-āzārī kā ham-sūrat se apne mashvara leñge
ilāhī ḳhair ā.īna talab hotā hai ḳhalvat meñ
mare par bhī 'sharaf' kī donoñ āñkheñ DabDabātī haiñ
ḳhudā jaane ki dam niklā hai un kā kis kī hasrat meñ
Top Urdushayar.com