Agha Hajju Sharaf

rulwa ke mujhko yar gunahgar kar nahin

Agha Hajju Sharaf

Lucknow, Uttar pradesh, India

1812-1887
rulvā ke mujh ko yaar gunahgār kar nahīñ
āñkheñ haiñ tar to hoñ mirā dāman to tar nahīñ
ummīd-e-vasl se bhī to sadma na kam huā
kyā dard jā.egā jo davā kā asar nahīñ
din ko bhī dāġh-e-dil kī na kam hogī raushnī
ye lau hī aur hai ye charāġh-e-sahar nahīñ
tanhā chaleñ haiñ ma.arka-e-ishq jhelne
un kī taraf ḳhudā.ī hai koī idhar nahīñ
ḳhālī safā.ī-qalb se behtar hai dāġh-e-ishq
kyā aib hai ki jis ke muqābil hunar nahīñ
qātil kī raah dekh le dam bhar na zahr khā
ai dil qazā ko aane de be-maut mar nahīñ
kyūñkar yahāñ na ek hī karvaT paḌā rahūñ
hū kā maqām gor kī manzil hai ghar nahīñ
ran-khan paḌeñge jab kahīñ dikhlā.egā vo shakl
be-kisht-e-ḳhūñ huī ye muhim ho ke sar nahīñ
āñkheñ jhapak rahī haiñ mirī barq-e-husn se
pesh-e-nazar ho tum mujhe tāb-e-nazar nahīñ
yaaro batāo kis taraf āñkheñ bichhā.ūñ maiñ
us shoḳh kī kidhar ko hai aamad kidhar nahīñ
banda-navāz sab haiñ rukū o sujūd meñ
taa.at se ġhāfil aap kī koī bashar nahīñ
pariyoñ ke paas jā.ūñ maiñ kyuuñ dil ko bechne
saudā jo mol luuñ ye mujhe dard-e-sar nahīñ
dard-e-firāq-e-yār se donoñ haiñ be-qarār
qaabū meñ dil nahīñ mutahammil jigar nahīñ
rāh-e-adam meñ saath rahegī tirī havas
parvā nahīñ na ho jo koī ham-safar nahīñ
ḳhalvat-sarā-e-yār meñ pahuñchegā kyā koī
vo band-o-bast hai ki havā kā guzar nahīñ
uThvā ke apnī bazm se dil ko mire na toḌ
pahlū meñ de ke jā mujhe barbād kar nahīñ
hastī kidhar hai ālam-e-arvāh hai kahāñ
ġhaflat-zada huuñ mujh ko kahīñ kī ḳhabar nahīñ
zanjīr utar ga.ī tirā dīvāna mar gayā
sannāTā qaid-ḳhāne meñ hai shor-o-shar nahīñ
chandrā ke mujh ko bole vo āḳhir jo shab huī
faq ho gayā hai rañg kisī kā sahar nahīñ
barpā hai hashr-o-nashr jo raftār-e-yār se
ye kaun sā chalan hai qayāmat agar nahīñ
durr-e-najaf to jism hai us nāznīn kā
mū-e-najaf meñ baal paḌā hai kamar nahīñ
dīdār kā lagā ke maiñ aayā huuñ aasrā
ummīd-vār huuñ mujhe māyūs kar nahīñ
yaaro sitam huā huī āḳhir shab-e-visāl
siina 'sharaf' ye kuuT rahe haiñ gajar nahīñ
Top Urdushayar.com