vo rañgat tū ne ai gul-rū nikālī
nichhāvar ko guloñ ne bū nikālī
mizāj-e-bū-e-sumbul kar ke mauqūf
sabā nai nik.hat-e-gesū nikālī
na thī jaane kī us tak raah dil kī
chhurī se chiir ke pahlū nikālī
nikāsī jab na dekhī yaas dil kī
bahā ke aaTh aaTh aañsū nikālī
hamārī ruuh ik rashk-e-chaman ne
suñghā ke phuul kī ḳhushbū nikālī
mire sayyād ne bulbul kī mayyat
qafas se toḌ ke baazū nikālī
kiyā us se jo ḳhush-chashmī kā da.avā
tirī jā.egī aañkh aahū nikālī
sulaimānī dikhā dī shaan tum ne
parī-rū maañg vo ḳhush-rū nikālī
nikālā husn kā armān tū ne
mirī hasrat na ai dil-jū nikālī
chaman meñ bhīnī bhīnī bū ne un kī
na basne dī ga.ī shabbū nikālī
dahān-e-zaḳhm se talvār chūmī
ba-shakl-e-bosā-e-abrū nikālī
qayāmat kā shabāb us ne nikālā
'sharaf' chañgez-ḳhānī ḳhū nikālī