jo sāmnā bhī kabhī yār-e-ḳhūb-rū se huā
zamāne bhar kā yurish mujh pe chaar sū se huā
kahā ishāroñ se maiñ ne ki tum pe martā huuñ
jo nutq band mirā un kī guftugū se huā
kisī ko bhī na havas thī halāl hone kī
rivāj-e-shauq-e-shahādat mire gulū se huā
jidhar nigāh kī jalva tirā nazar aayā
kamāl-e-kashf mujhe terī aarzū se huā
khulā na haal kisī par ki kyā mizāj meñ hai
ḳhudā.ī meñ koī vāqif na us kī ḳhū se huā
ajab ghaḌī se garebāñ phaTā thā majnūñ kā
tamām umr na vāqif kabhī rafū se huā
baḌe-baḌoñ ko lagāyā na muñh kabhī maiñ ne
vo zarf huuñ ki na vāqif kabhī subū se huā
vo ḳhud bhī kar ga.e tar āñsuoñ se turbat ko
galī meñ yaar kī madfūn is aabrū se huā
bahār-e-bāġh ko aa.e jo dekhne be-yār
dimāġh aur pareshāñ guloñ kī bū se huā
chaḌhā.e gor-e-ġharībāñ pe gul jo us gul ne
chaman bahisht kā paidā maqām-e-hū se huā
halāl hone ko sayyād se mohabbat kī
qazā jo aa.ī to mānūs maiñ adū se huā
ḳhudā.ī karne lagā yaar be-niyāzī se
baḌā ġhurūr use merī aarzū se huā
jahāñ se mahfil-e-me.arāj meñ huī talabī
bashar kā martaba ye us kī justujū se huā
lagāte haiñ jo sab āñkhoñ se āb-e-zamzam ko
'sharaf' ye faiz kā chashma mirī vazū se huā