sannāTe kā aalam qabr meñ hai hai ḳhvāb-e-adam ārām nahīñ
imkān-e-numūd-e-sub.h nahīñ ummīd-e-charāġh-e-shām nahīñ
dil naame ke shak le purze kiyā ai vaa.e nasībe kā ye likhā
peshānī par un kī mohr nahīñ sar-nāme pe merā naam nahīñ
jaate haiñ jo ujḌe zinda chaman is bāġh-e-jahāñ kī vaj.h ye hai
gulzār ye jis gulfām kā hai us baaġh meñ vo gulfām nahīñ
bichh jā.eñge bulbul aa ke hazāroñ TuuT paḌeñge ja.al ye hai
sayyād gulābī pahne hai kapḌe chādar-e-gul hai daam nahīñ
is najd meñ ḳhauf ai lailā na kar us ġham-zada kī le jā ke ḳhabar
majnūñ se tirā vahshī hai tirā be-chāra koī zirġhām nahīñ
āgāh kiyā hai dil ko hamāre kis ne tumhārī ḳhūbiyoñ se
insāf karo munsif ho tumhīñ phir kyā hai jo ye ilhām nahīñ
dil dete hī un ko ghulne lage nazroñ meñ ajal ke tulne lage
āġhāz-e-mohabbat se ye khulā chāhat kā ba-ḳhair anjām nahīñ
aalam hai ajab gītī-e-adam kā chaar taraf hai ālam-e-hū
āsā.ish-e-jān-o-rūh nahīñ rāhat kā koī hañgām nahīñ
jaanā hai adam kī raah hameñ honā hai fanā-fillāh hameñ
lete haiñ yahāñ dam chand nafas hastī se hameñ kuchh kaam nahīñ
phir aañkh kabhī khulne kī nahīñ niiñd aa.egī ik din aisī hameñ
honā hai yahī soche haiñ jo ham ye ḳhvāb-o-ḳhayāl-e-ḳhām nahīñ
chaurañg nahīñ kyuuñ khelte ab kis kushte pe rahm aayā hai tumheñ
ḳhūñ-reziyoñ kā kyuuñ shauq nahīñ kyuuñ zeb-e-kamar samsām nahīñ
aqlīm-e-ḳhamoshāñ se to sadā ik ġham-zada aatī hai ye sadā
haiñ saikḌoñ shāhanshāh yahāñ par hukm nahīñ ahkām nahīñ
duniyā meñ jo thā taabe thā jahāñ ma.alūm nahīñ pahuñchā vo kahāñ
ibrat kā mahal kahte haiñ ise ab gor meñ bhī bahrām nahīñ
bulbul kī fuġhāñ par ḳhanda-zanī ġhunchoñ ne jo kī pazhmurda hue
sach hai ki hazīn-o-ġham-zada ho hañsne kā ba-ḳhair anjām nahīñ
dīdār ke bhūke tere jo haiñ hai ḳhatm unhīñ par nafs-kushī
kuchh ḳhvāhish-o-fikr-e-faut nahīñ duniyā ke maze se kaam nahīñ
tum qabr meñ kyuuñ uTh baiThe 'sharaf' ārām karo ārām karo
yārān-e-vatan rote haiñ tumheñ kuchh hashr nahīñ kohrām nahīñ