fasl-e-gul meñ hai irāda sū-e-sahrā apnā
rañg kyā dekhiye dikhlātā hai saudā apnā
ishq meñ ham jo miTāte haiñ kisī ko kyā kaam
jaan apnī hai dil apnā hai kaleja apnā
aah ham karte haiñ ai yaar ke mahfil vaalo
donoñ hāthoñ se jigar thaam lo apnā apnā
pūchhte kyā ho judā.ī meñ jo guzrī guzrī
tum ko ma.alūm hai sab haal kaheñ kyā apnā
koī mushtāq rahā jalva kisī ne dekhā
is ko kyā kījiye maqsūm hai apnā apnā
zindagī shart hai kyā dard-e-jigar se hogā
apne haq meñ to dam apnā hai masīhā apnā
kaam aayā amal-e-nek mirā turbat meñ
lillāhil-hamd ki ik dost to niklā apnā
pūchhte haiñ jo koī naam mirā letā hai
jānte haiñ vo mujhe āshiq-e-shaidā apnā
najd meñ dard-e-jigar qais bayāñ kartā hai
ḳhuub hī ro.egī dil thaam ke lailā apnā
shahr se bhāgte haiñ dasht meñ ghabrāte haiñ
dil bahaltā hī nahīñ ab to kisī jā apnā
eḌiyāñ mujh se ragaḌvā.egī majnūñ kī tarah
naam rakkhā hai shab-e-vasl ne lailā apnā
ai 'sharaf' ḳhair to hai haal hai kyuuñ sakte kā
aa.ina le ke zarā dekho to chehrā apnā