Agha Hajju Sharaf

jawani aai murad par jab umang jati rahi bashar ki

Agha Hajju Sharaf

Lucknow, Uttar pradesh, India

1812-1887

javānī aa.ī murād par jab umañg jaatī rahī bashar

nasīb hote chaudhvīñ shab shikoh ruḳhsat huī qamar

vo shoḳh chitvan thī kis sitam ki jis ne chashmak kahīñ na kam

kisī taraf ko jo barq chamkī to samjhe gardish use nazar

tirā duniyā meñ hai fasāna tirā shaidā.ī hai zamāna

tire ġham meñ huiiñ ravāna nikal ke rūheñ ḳhudā.ī bhar

na āsmāñ hai na vo zamīñ hai makāñ nahīñ vo jahāñ makīñ hai

payambaroñ guzar nahīñ hai rasā.ī hai mere nāma-bar

khiñchā jo tūl-e-shab-e-judā.ī añdherī madfan yaad aa.ī

nigāh o dil par vo yaas chhā.ī umiid jaatī rahī sahar

jo ishq-bāzoñ ko āzmāyā lagā ke chhuriyāñ ye qahr Dhāyā

yahāñ yahāñ tak lahū bahāyā ki naubat aa.ī kamar kamar

gire jo kuchh surḳh gul zamīñ par kahā ye bulbul ne ḳhaak uḌā kar

huā hai va.ada mirā barābar ye sūrateñ haiñ mire jigar

maqām-e-ibrat hai aah ai dil ḳhudā hai panāh ai dil

nahīñ hai kuchh zād-e-rāh ai dil adam se tākīd hai safar

ye ham ne kaisā safar kiyā hai musāfiroñ ko rulā diyā hai

ajal ne āġhosh meñ liyā hai ḳhabar bhī ham ko nahīñ safar

vo jald yā-rab inhīñ ko taake lagā de do tiir in par aa ke

ye donoñ rah jaa.eñ phaḌphaḌā ke maiñ dekhūñ lāsheñ dil o jigar

kisī ma.ashūq chhūTtā hai sahar vaqt us ko lūTtā hai

koī ye siine ko kūTtā hai nahīñ hai āvāz ye gajar

khichā hai zartār shāmiyāna guloñ se aatī hai shahāna

dikhā ke qudrat kārḳhāna lahad ne hasrat bhulā ghar

ġhashī aalam vo zor par hai mizāj-e-sehhat se be-ḳhabar hai

davā ġhaflat-zada asar hai ḳhabar davā ko nahīñ asar

shabāb ne ḳhud-numā banāyā ye nāz-e-ḳhushrūī ne jatāyā

hayā meñ jis vaqt farq aayā to un ke mukhḌe se zulf sarkī

huā huuñ chaurañg teġh-e-hasrat ki dafn hai mirī ye sūrat

kisī taraf ko hai dil turbat kahīñ hai turbat mire jigar

jo us ne zid to aafat aa.ī duhā.ī dene lagī ḳhudā.ī

qayāmat us bevafā ne Dhaa.ī idhar duniyā 'sharaf' udhar

Top Urdushayar.com