Agha Hajju Sharaf

tirchhi nazar na ho taraf-e-dil to kya karun

Agha Hajju Sharaf

Lucknow, Uttar pradesh, India

1812-1887
tirchhī nazar na ho taraf-e-dil to kyā karūñ
lailā ke nā-pasand ho mahmil to kyā karūñ
Thahre na ḳhūñ-bahā sū-e-qātil to kyā karūñ
haq ho jo ḳhud-baḳhud mirā bātil to kyā karūñ
ik rañg ko jahāñ meñ nahīñ koī māntā
har rañg meñ rahūñ na maiñ shāmil to yā karūñ
pisvā.ūñ be-gunāh jo dil ko hinā ke saath
pursān-e-hāl ho koī aadil to kyā karūñ
parvāna hone kī bhī ijāzat nahīñ mujhe
ālam-fareb hai tirī mahfil to kyā karūñ
jaatā gulū-burīda bhī uḌ kar guloñ ke paas
baazū gayā hai toḌ ke bismil to kyā karūñ
laila ye kah ke jalva dikhātī hai qais ko
uḌne lage jo parda-e-mahmil to kyā karūñ
ḳhud chāhtā huuñ zabt karūñ dard-e-shauq maiñ
dil hī mirā na ho mutahammil to kyā karūñ
muñh chuum luuñ ki gird phirūñ dauḌ dauḌ ke
ai dil jo haath rok le qātil to kyā karūñ
dam rāh-e-shauq-o-zauq meñ letā nahīñ kahīñ
is par bhī tai na ho jo ye manzil to kyā karūñ
kyūñ-kar na jabr dil pe karūñ apne iḳhtiyār
rāhat meñ aa paḌe koī mushkil to kyā karūñ
ik ik se pūchhte haiñ vo ā.īna dekh kar
ma.ashūq pā.ūñ pyaar ke qābil to kyā karūñ
de duuñ maiñ rāh-e-ishq meñ jaan us ke naam par
nā-chār huuñ na ho koī saa.il to kyā karūñ
Tāñke jigar ke zaḳhm meñ kyūñkar lagāne duuñ
gul tere baaġh kā ho muqābil to kyā karūñ
aane ko manā karte ho achchhā na ā.ūñgā
ye to kaho na maane mirā dil to kyā karūñ
shāyad mujhe jamāl dikhā de vo ai kalīm
nazzāre kā na huuñ mutahammil to kyā karūñ
mar jā.ūñ Duub kar 'sharaf' us paar yaar hai
kashtī na ho koī lab-e-sāhil to kyā karūñ
Top Urdushayar.com