Agha Hajju Sharaf

teri gali mein jo dhuni ramae baiThe hain

Agha Hajju Sharaf

Lucknow, Uttar pradesh, India

1812-1887
tirī galī meñ jo dhūnī ramā.e baiThe haiñ
ajal-rsīda haiñ marne ko aa.e baiThe haiñ
karo hamārī bhī ḳhātir nikal ke parde se
ki mehmāñ haiñ tumhāre bulā.e baiThe haiñ
hamārī baġhloñ meñ bū-e-murād aatī hai
tumhāre pahlū meñ ham jab se aa.e baiThe haiñ
diyā jo itr unhīñ āshiqoñ ko miTTī kā
kahā ki ham na maleñge nahā.e baiThe haiñ
uThā ke bazm se ḳhalvat meñ tum ko le jaate
ye sochte haiñ ki apne parā.e baiThe haiñ
vo shab ko bazm meñ hañs hañs ke pūchhte the hameñ
ye kaun haiñ ki jo aañsū bahā.e baiThe haiñ
azal se hai ye do-ālam meñ raushnī jis kī
usī charāġh se ham lau lagā.e baiThe haiñ
bahār o nik.hat-e-gul hotī haiñ nisār un par
chaman meñ rañg vo apnā jamā.e baiThe haiñ
yahāñ bhī chain se sone na pā.eñge afsos
mazār meñ bhī nakīrain aa.e baiThe haiñ
uThāoge hameñ ab kyā tum apnī mahfil se
ham ārzū-o-havas ke biThā.e baiThe haiñ
bahār meñ na.ī sūjhī hai un ko gustāḳhī
urūs-e-bāġh kā ghūñgat uThā.e baiThe haiñ
farefta tirī is tirchhī tirchhī chitvan ke
chhurī kalejoñ meñ apne lagā.e baiThe haiñ
hamāre dafn-o-kafan kī bas ab karo tadbīr
ḳhabar bhī hai tumheñ ham zahr khaa.e baiThe haiñ
ye kuchh na samjheñge saudā.iyoñ pe rahm karo
havās-o-hosh junūñ meñ uḌaa.e baiThe haiñ
farishte dekhiye karte haiñ ham se kyā pursish
mare paḌe the lahad meñ jilā.e baiThe haiñ
faqīr kyuuñ ye hue haiñ 'sharaf' se pūchho to
bhabhūt mal ke jo dhūnī ramā.e baiThe haiñ
Top Urdushayar.com