Agha Hajju Sharaf

ilahi KHair jo shar wan nahin to yan bhi nahin

Agha Hajju Sharaf

Lucknow, Uttar pradesh, India

1812-1887
ilāhī ḳhair jo shar vaañ nahīñ to yaañ bhī nahīñ
ta.ammul is meñ agar vaañ nahīñ to yaañ bhī nahīñ
kuchh un ghar se nahīñ kam hamārā ḳhāna-e-dil
jo aadmī kā guzar vaañ nahīñ to yaañ bhī nahīñ
vo jaan lete haiñ ham un pe jaan dete haiñ
nasīhatoñ kā asar vaañ nahīñ to yaañ bhī nahīñ
mare miTeñge ham ai dil yahī jo chashmak hai
safā.ī madd-e-nazar vaañ nahīñ to yaañ bhī nahīñ
karegā naaz taḌapne meñ ham se kyā bismil
kamī-e-dard-e-jigar vaañ nahīñ to yaañ bhī nahīñ
vo teġh-zan haiñ to ham bhī jigar pe rokeñgi
jo ehtiyāj-e-sipar vaañ nahīñ to yaañ bhī nahīñ
vo be-ḳhabar haiñ jahāñ se to ham haiñ ḳhud-rafta
zamāne kī jo ḳhabar vaañ nahīñ to yaañ bhī nahīñ
ḳhajil haiñ gāloñ se un ke hamāre dāġhoñ se
faroġh-e-shams-o-qamar vaañ nahīñ to yaañ bhī nahīñ
tum aa.ine meñ ye kis nāznīñ se kahte the
baġhaur dekh kamar vaañ nahīñ to yaañ bhī nahīñ
shab-e-mazār se kuchh kam nahīñ hai shām-e-firāq
agar asīr-e-sahar vaañ nahīñ to yaañ bhī nahīñ
vo gaalī deñge to bosa 'sharaf' maiñ le lūñgā
lihāz-e-pās agar vaañ nahīñ to yaañ bhī nahīñ
Top Urdushayar.com