pur-nūr jis ke husn se madfan thā kaun thā
chehra ye kis shahīd kā raushan thā kaun thā
Thahrā gayā hai lā ke jo manzil meñ ishq kī
kyā jaane rahnumā thā ki rahzan thā kaun thā
toḌā thā kis ke dil ko khilaune kī tarah se
āshiq tumhārā jab ki laḌakpan thā kaun thā
kis dil se hai ḳhudā.ī meñ ījād dard-e-ishq
roz-e-azal jo mūjid-e-shevan thā kaun thā
hū kā maqām thā mujhe rotī thī be-kasī
koī na thā jahāñ mirā madfan thā kaun thā
jhuk jhuk ke dekhtā thā vo kis kī jigar kā ghaav
tar jis ke ḳhuuñ meñ yaar kā dāman thā kaun thā
ham muskurāte the vo dikhātā thā sair-e-bāġh
dam kis pe shefta dam-e-murdan thā kaun thā
insān thā ki koī parī-zād thā 'sharaf'
dil merā jis ke nuur se raushan thā kaun thā