Agha Hajju Sharaf

chahiyen mujhko nahin zarrin qafas ki putliyan

Agha Hajju Sharaf

Lucknow, Uttar pradesh, India

1812-1887
chāhiyeñ mujh ko nahīñ zarrīñ qafas kī putliyāñ
āshiyāñ jānūñ jo hoveñ ḳhār-o-ḳhas kī putliyāñ
ho ga.iiñ be-rañg jab agle baras kī putliyāñ
ḳhuun ro kar ham ne kiiñ rañgīñ qafas kī putliyāñ
hai ye faulādī qafas mujh nā-tavāñ kā kyā karūñ
kis tarah toḌūñ nahīñ haiñ mere bas kī putliyāñ
kyā ḳhudā kī shaan hai aatī hai jab fasl-e-bahār
sab harī ho jaatī haiñ mere qafas kī putliyāñ
jab kabhī kunj-e-qafas meñ kī hai maiñ ne āh-e-garm
mom ho kar bah ga.ī haiñ pesh-o-pas kī putliyāñ
ghar qafas ko maiñ samajhtā huuñ asīrī ko murād
jāntā huuñ apnī aahoñ ko havas kī putliyāñ
paTriyāñ mere qafas kī shāḳh-e-gul se kam nahīñ
loch ye dekhā na dekhīñ aisī ras kī putliyāñ
gūñjne lagtā hai ye bhī jab fuġhāñ kartā huuñ maiñ
nasb haiñ mere qafas meñ kyā jaras kī putliyāñ
dekhiye shauq-e-asīrī meñ jakaḌne ke liye
ho ga.iiñ resham kā lachhā sab qafas kī putliyāñ
ro rahī hai dekh kar lailā jo us ko ai 'sharaf'
pasliyāñ majnūñ kī haiñ mere qafas kī putliyāñ
Top Urdushayar.com