Agha Hajju Sharaf

nahaq o haq ka unhen KHauf-o-KHatar kuchh bhi nahin

Agha Hajju Sharaf

Lucknow, Uttar pradesh, India

1812-1887
nāhaq o haq kā unheñ ḳhauf-o-ḳhatar kuchh bhī nahīñ
be-ḳhabar haiñ vo zamāne kī ḳhabar kuchh bhī nahīñ
dhuum hī dhuum thī madfan kī magar kuchh bhī nahīñ
ḳhaak is ghar meñ basar hogī ye ghar kuchh bhī nahīñ
haa.e afsos huī kaun sī sohbat barḳhāst
shab ko me.arāj meñ the vaqt-e-sahar kuchh bhī nahīñ
kah rahī hai ye mare dil se mohabbat us kī
huuñ to iksīr magar mujh meñ asar kuchh bhī nahīñ
aa rahī hai ye sadā gor ke sannāTe se
maiñ vo aalam huuñ jahāñ shām-o-sahar kuchh bhī nahīñ
is nazākat se to maiñ kaahe ko bismil hūñgā
tum chhurī pherte ho mujh ko ḳhabar kuchh bhī nahīñ
hātif-e-ishq to kahtā hai idhar sab kuchh hai
ālam-e-yās ye kahtā hai udhar kuchh bhī nahīñ
aañkh phir jaatī hai māshūqoñ kī māyūsoñ se
ġham-zada kuchh nahīñ hasrat kī nazar kuchh bhī nahīñ
turbat-e-qais se kahtī hai lipaT kar lailā
ham taḌapte haiñ paḌe tum ko ḳhabar kuchh bhī nahīñ
manzil-e-gor meñ kyā jāniye kyā guzregī
taaza vārid haiñ abhī ham ko ḳhabar kuchh bhī nahīñ
lan-tarānī kī jo tākīd hai ai dil ye khulā
bāb-e-dīdār meñ manzūr-e-nazar kuchh bhī nahīñ
ḳhvāb dekhā thā ki thā vasl kī shab kā sāmān
jashn thā raat ko hañgām-e-sahar kuchh bhī nahīñ
us ko gahrī ise ye ochhī chhurī vaah ai yaar
zaḳhm-e-dil ghaav huā zaḳhm-e-jigar kuchh bhī nahīñ
rishta-e-jāñ se bhī nāzuk hai vo bārīkī meñ
gul kī rag phir hai gudāz us kī kamar kuchh bhī nahīñ
qabr meñ hūroñ ke aane kā uThā.eñ kyā lutf
diida o jism o dil o jaan o jigar kuchh bhī nahīñ
raas aa jā.egī jis ko vo use chāheñge
phir mohabbat meñ sabhī kuchh hai agar kuchh bhī nahīñ
mutma.in huuñ rah-e-isyāñ meñ tirī rahmat se
vo musāfir huuñ ki tashvīsh-e-safar kuchh bhī nahīñ
ai 'sharaf' hai gul-e-maqsūd ke har-sū bauchhār
vaah ai ḳhūbi-e-qismat ki idhar kuchh bhī nahīñ
Top Urdushayar.com