darpesh ajal hai ganj-e-shahīdāñ ḳharīdiye
turbat ke vāste chamanistāñ ḳharīdiye
saudā pukārtā hai ye fasl-e-bahār meñ
gulshan na mol lījiye zindāñ ḳharīdiye
bāzār meñ ye kartī haiñ ġhul merī beḌiyāñ
sohan hamāre kāTne ko yaañ ḳharīdiye
raft-o-guzasht bhī huā vahshat kā valvala
sozan barā.e-chāk-e-garebāñ ḳharīdiye
le lījiye mirā dil-e-sad-chāk muft hai
shāna barā.e-zulf-e-pareshāñ ḳharīdiye
bāzār-e-mustafā hai ḳharīdār hai ḳhudā
ḳhud bikye yaañ na kuchh kisī unvāñ ḳharīdiye
jis vaqt jā nikalte haiñ bāzār-e-husn meñ
himmat ye kahtī hai ki paristāñ ḳharīdiye
hulla koī mañgā.iye jaañ dī hai aap par
ḳhil.at hamāre vāste ai jaañ ḳharīdiye
turbat pe merī hogī takalluf kī raushnī
kāfūr bahr-e-sham-e-shabistāñ ḳharīdiye
karte haiñ shor ganj-e-shahīdāñ meñ gul-farosh
chādar barā.e-gor-e-ġharībāñ ḳharīdiye
vahshat meñ mushk kī na rasad muft lījiye
saudā hai bū-e-kākul-e-pechāñ ḳharīdiye
hotā hai shauq-e-ishq meñ rah rah ke valvala
majnūñ se dāġh-e-dil sar-e-maidāñ ḳharīdiye
har-sū amal junūñ ke qalam-rau meñ chāhiye
DhuñDvā ke ek ek bayābāñ ḳharīdiye
hote haiñ jazb-e-ishq se pariyoñ ke jamghaTe
ik mulk misl-e-mulk-e-sulaimāñ ḳharīdiye
chaurañg khelne meñ harīfoñ ke ai 'sharaf'
bachiye to teġh-e-rustam-e-dastāñ ḳharīdiye