ghiste ghiste paañv meñ zanjīr aadhī rah ga.ī
aadhī chhuTne kī huī tadbīr aadhī rah ga.ī
niim bismil ho ke maiñ taḌpā to vo kahne lage
chuuk tujh se ho ga.ī ta.azīr aadhī rah ga.ī
shaam se thī aamad aamad nisf shab ko aa.e vo
yāvarī kar ke mirī taqdīr aadhī rah ga.ī
nisf shahr us gesu-e-mushkīñ ne dil-basta kiyā
ḳhusrav-e-tātār kī tauqīr aadhī rah ga.ī
chaudhvīñ shab nā-mubārak māh-e-kāmil ko huī
nisf mansab ho gayā jāgīr aadhī rah ga.ī
tez kab tak hogī kab tak baaḌh rakkhī jā.egī
ab to ai qātil tirī shamshīr aadhī rah ga.ī
aadhe dhaḌ kā dam nikaltā thā ki aayā ḳhatt-e-shauq
paḌhte paḌhte mar ga.e tahrīr aadhī rah ga.ī
rañg phirne bhī na paayā thā ki ḳhud-rafta huā
ban ke 'mānī' se tirī tasvīr aadhī rah ga.ī
nisf shab tak dī tasallī phir vo yūsuf uTh gayā
ḳhvāb-e-hasrat kī mirī ta.abīr aadhī rah ga.ī
ḳhud kahā qātil se maiñ ne phir dobāra zab.h kar
kaT ke jab gardan dam-e-takbīr aadhī rah ga.ī
dopahar raat aa chukī jab guftugū kī ishq kī
yaar se aadhī huī taqrīr aadhī rah ga.ī
imtihān meñ kundanī rañg un kā duunā ho gayā
uḌte uḌte surḳhī-e-iksīr aadhī rah ga.ī
ai parī-rū jald zindāñ meñ 'sharaf' kī le ḳhabar
TukḌe kar ke pheñk dī zanjīr aadhī rah ga.ī