tere aalam kā yaar kyā kahnā
har taraf hai pukār kyā kahnā
uff na kī dard-e-hijr zabt kiyā
ai dil-e-be-qarār kyā kahnā
va.ada-e-vasl un se luuñ kyūñ-kar
merā kyā iḳhtiyār kyā kahnā
kyā hī nairañgiyāñ dikhā.ī haiñ
mere bāġh-o-bahār kyā kahnā
kaise āshiq haiñ un se jab pūchhā
bole be-iḳhtiyār kyā kahnā
musht par bhī guloñ ke gard rahe
āfrīñ ai hazār kyā kahnā
tirchhī nazreñ chhurī kaTārī haiñ
chashm-e-bad-dūr yaar kyā kahnā
gulshanoñ meñ ye rañg-rūp kahā
lā-javāb ai nigār kyā kahnā
dam-e-īsā ko maat kartī hai
ai nasīm-e-bahār kyā kahnā
imtihāñ kar chuke to vo bole
ai mire jāñ-nisār kyā kahnā
us ke kūche meñ baiTh kar na uThā
vaah mere ġhubār kyā kahnā
jānte haiñ ki jaan doge 'sharaf'
us ko phir baar baar kyā kahnā