Agha Hajju Sharaf

pari-paikar jo mujh wahshi ka pairahan banate hain

Agha Hajju Sharaf

Lucknow, Uttar pradesh, India

1812-1887
parī-paikar jo mujh vahshī kā pairāhan banāte haiñ
garebāñ chaak kar dete haiñ be-dāman banāte haiñ
junūñ meñ jā-ba-jā ham jo lahū rote haiñ sahrā meñ
guloñ ke shauq meñ vīrāne ko gulshan banāte haiñ
jinheñ ishq-e-dilī hai vo tumhārā naam japne ko
tahārat se hamārī ḳhaak kī misran banāte haiñ
muraqqa.a khīñchte haiñ jo tire ganj-e-shahīdāñ kā
tah-e-shamshīr har tasvīr kī gardan banāte haiñ
diyā karte ho tum jis tarah se bal zulf-e-pechāñ ko
musāfir ke liye yuuñ phāñsiyāñ rahzan banāte haiñ
hasīnān-e-chaman par ḳhātma hai jāma-zebī kā
phaTā paḌtā hai joban jo ye pairāhan banāte haiñ
hamesha shefta rakhtī hai apnī husn-e-qudart kā
ḳhud us kī ruuh ho jaate haiñ jis kā tan banāte haiñ
irāda hai jo shamshīr-e-do-dam ke muñh pe chaḌhne kā
tire jāñ-bāz chaar ā.īna o joshan banāte haiñ
rahā karte haiñ vo dil meñ phirā karte haiñ nazroñ meñ
atā karte haiñ nuur āñkhoñ ko dil raushan banāte haiñ
salāh-e-ishq de de kar kiye dete haiñ ḳhud rafta
tire shaidā.ī dil se dost ko dushman banāte haiñ
koī chāk-e-jigar bulbul kā gul-chīnoñ se paatā hai
nikharne ko gul apne apne pairāhan banāne haiñ
guloñ ke Dher lā lā ke chaman se us meñ phūñkeñge
qarīb-e-bostāñ bedād-gar gulḳhan banāte haiñ
madad tayār hai naqsha iram kā khiñch ke aayā hai
shahīd-e-nāz par rahm aa gayā madfan banāte haiñ
muraqqa.a khīñchte haiñ baaġh kā jo husn qudrat se
gul-e-shādāb kā kyā rañg kyā roġhan banāte haiñ
ta.alluq zeb-o-zīnat se nahīñ kuchh ḳhāksāroñ ko
'sharaf' miTTī meñ rañgte haiñ jo pairāhan banāte haiñ
Top Urdushayar.com