talāsh-e-qabr meñ yuuñ ghar se ham nikal ke chale
kafan baġhal meñ liyā muñh pe ḳhaak mal ke chale
havā khilānī thī duniyā kī merī mayyat ko
uThāne vaale jo kāñdhā badal badal ke chale
jagah na dī hameñ us sham.a-rū ne pahlū meñ
havas bujhāne ko aa.e the aur jal ke chale
uThā ke bazm se ham le chale jo ḳhalvat meñ
qadam qadam pe vo rūThe machal machal ke chale
yahāñ tak aa.e haiñ tai ham do-manzila kar ke
tumhārī bazm meñ pahuñche haiñ āj-kal ke chale
shahīd-e-nāz kī mayyat jo dekhī gul-dar-gul
kafan khasūT jo aa.e the haath mal ke chale
kamand-e-kākul-e-pechāñ se duur duur rahe
qazā Tale jo 'sharaf' us balā se Tal ke chal