Agha Hajju Sharaf

tir-e-nazar se chhid ke dil-afgar hi raha

Agha Hajju Sharaf

Lucknow, Uttar pradesh, India

1812-1887
tīr-e-nazar se chhid ke dil-afgār hī rahā
nāsūr us meñ sūrat-e-sofār hī rahā
duniyā se hai nirālī adālat hasīnoñ kī
fariyād jis ne kī vo gunahgār hī rahā
saudā.iyoñ kī bhiiḌ koī dam na kam huī
har vaqt ghar meñ yaar ke bāzār hī rahā
nargis jo us masīh kī nazroñ se gir ga.ī
achchhe na phir hue use āzār hī rahā
gulzār meñ hamesha kiye ham ne chahchahe
sayyād o bāġhbāñ ko sadā ḳhaar hī rahā
aa.ī na dekhne meñ bhī tasvīr yaar kī
ā.īna darmiyān meñ dīvār hī rahā
surme se tuur ke bhī na kuchh fā.eda huā
āñkhoñ ko intizār kā āzār hī rahā
majnūñ ne merā dāġh-e-jigar sar pe rakh liyā
ye gul vo hai jo turra-e-dastār hī rahā
kuchh bhī na mufsidoñ kī darañdāziyāñ chalīñ
ik uns mujh se un se jo thā pyaar hī rahā
bole vo merī qabr jharoke se jhāñk kar
ye shaḳhs mar ke bhī pas-e-dīvār hī rahā
mumkin na phir huī qafas-e-gor se najāt
jo is meñ phañs gayā vo giraftār hī rahā
aalam meñ husn-o-ishq kā afsāna rah gayā
yūsuf hī rah ga.e na ḳharīdār hī rahā
sayyād ko kabhī na musībat ne dī najāt
bulbul ke sabr meñ ye giraftār hī rahā
kyā jaane us ġharīb ko kis kī nazar huī
un añkhḌiyoñ kā shefta bīmār hī rahā
tū rah gayā faqat tire saudā.ī rah ga.e
yūsuf rahe na misr kā bāzār hī rahā
rāhat kisī hasīñ se bhī paa.ī na ai 'sharaf'
chāhā jise vo dar-pa.e-āzār hī rahā
Top Urdushayar.com