ġham-e-paiham kī zindagī bhī milī
ġham meñ ik lazzat-e-ḳhafī bhī milī
umr nauha-kunāñ rahī saarī
isī nauhe meñ naġhmagī bhī milī
ġharfashīñ shorisheñ guhār dahāḌ
isī jañgal meñ simfanī bhī milī
ghup añdheroñ kī rahguzāroñ meñ
kabhī chhan-chhan ke chāñdnī bhī milī
ik-na-ik rāsta to sab kā hai
ye na pūchho ki rāstī bhī milī
yuuñ bhī kyā kam the rah-zanān-e-havās
raah meñ bīsvīñ sadī bhī milī
us añdhere kā shukriya jis meñ
ham jo Duube to raushnī bhī milī
ham ne māñgī shaguftagī paa.ī
be-talab phir fasurdagī bhī milī
umr-bhar qist qist marte rahe
mar chuke jab to zindagī bhī milī