Agha Hajju Sharaf

hawas gulzar ki misl-e-anadil hum bhi rakhte the

Agha Hajju Sharaf

Lucknow, Uttar pradesh, India

1812-1887
havas gulzār kī misl-e-anādil ham bhī rakhte the
kabhī thā shauq-e-gul ham ko kabhī dil ham bhī rakhte the
qazā bhī tere hāthoñ chāhte the tujh ko kyā kiije
nahīñ to teġh-e-dam ke saath qātil ham bhī rakhte the
ḳhatā-e-ishq par ham par na itnā bhī sitam Dhaao
agar chāhā to chāhā kyā huā dil ham bhī rakhte the
ḳhudā ko ilm hai zinda hai yā jal-bhun gayā shab ko
dil apnā tere parvānoñ meñ shāmil ham bhī rakhte the
mirī jāñ-bāziyoñ par gor meñ rustam ye kahtā hai
na the aise jarī go sher kā dil ham bhī rakhte the
ilāqa ishq kā lete ye soche hoñge barbādī
vagarna naqd-e-jān o sikka-e-dil ham bhī rakhte the
ḳhudā ke sāmne hogī jo pursish ishq-bāzoñ kī
kaheñge ham bhī itnā ishq-e-kāmil ham bhī rakhte the
tamannā thī hameñ bhī terī sohbat dekh lene kī
ki parvāne the shauq-o-zauq-e-mahfil ham bhī rakhte the
baḌe uqda-kushā the tum to hal is ko bhī karnā thā
muhimm-e-ishq sar karne kī mushkil ham bhī rakhte the
talāsh-e-yār meñ ḳhufiya ga.e ushshāq duniyā se
ḳhabar bhī kī na ham ko shauq-e-manzil ham bhī rakhte the
koī lahza judā.ī meñ taḌapne se na fursat thī
kabhī pahlū meñ dil mānind-e-bismil ham bhī rakhte the
junūñ kā zor thā dil meñ jagah kar lī thī vahshat ne
ġharaz pesh-e-nazar lailā o mahmil ham bhī rakhte the
jagah dil kī tarah pahlū meñ dī hotī hameñ tum ne
liyāqat is sar-afrāzī ke qābil ham bhī rakhte the
use kyūñkar na kahte ham ki yaktā hai ḳhudā.ī meñ
shanāsā the tamīz-e-haqq-o-bātil ham bhī rakhte the
ḳhudā ne jaan chhuḌvā.ī 'sharaf' vo ḳhud bigaḌ baiThā
haqīqat meñ ajab ma.ashūq-e-jāhil ham bhī rakhte the
Top Urdushayar.com