Agha Hajju Sharaf

hue aise ba-dil tere shefta hum dil-o-jaan ko hamesha nisar kiya

Agha Hajju Sharaf

Lucknow, Uttar pradesh, India

1812-1887
hue aise ba-dil tire shefta ham dil-o-jāñ ko hamesha nisār kiyā
rah-e-ishq se phir na haTā.e qadam rahe mahv tire tujhe pyaar kiyā
tire shauq meñ dil kī tabāhī huī tire zauq kī us pe gavāhī huī
koī dam bhī na lene diyā mujhe dam mujhe dushman-e-sabr-o-qarār kiyā
ga.ī jaañ qafas meñ barā-e-chaman chalī le ke jahāñ se havā-e-chaman
kabhī abr-e-karam ne kiyā na karam na kisī ne bayān-e-bahār kiyā
jahāñ mahke mahak gayā saarā jahāñ bhalā itr ko bū ye nasīb kahāñ
ba-ḳhudā hī ḳhatā kaheñ mushk-bū ham tirī zulf pe sadqe nisār kiyā
na lo ishq kā naam ye kahte ho kyā jo ho teġh-tale bhī hamārā galā
yahī ham kahe jaa.eñ ḳhudā kī qasam tumheñ pyaar kiyā tumheñ pyaar kiyā
tire haath se maiñ jo shahīd huā mirī ruuh kā ishq murīd huā
jo hayāt rahā to na chhoḌe qadam jo marā to tavāf-e-mazār kiyā
tire shauq ne ham ko jo ḳhaak kiyā tire zauq ne ḳhaak se paak kiyā
tire rañg ne mujh pe kiyā ye karam mujhe tere chaman kā ġhubār kiyā
tire tīr-e-hadaf kī havas thī mujhe baḌī hasrat-e-kunj-e-nafas thī mujhe
mujhe chuuk kiyā ye ġhazab ye sitam na asiir kiyā na shikār kiyā
tujhe chāhā to rañg ye miT ke jame tire baaġh meñ ḳhaak se paak hue
mare tere chaman kī havas meñ jo ham to ġhubār ko abr-e-bahār kiyā
na adam kī jo mujh ko savārī milī koī taḳht-e-ravāñ na amārī milī
ka.ī dostoñ ne mire ho ke baham mujhe dosh par apnī savār kiyā
hameñ is kī kahīñ se ḳhabar na milī huī umr tamām magar na milī
kabhī us ne bhī haal kiyā na raqam ḳhat-e-shauq ravāna hazār kiyā
tire roz-e-azal se farefta haiñ tire husn-o-jamāl ke shefta haiñ
tire ishq meñ ho ga.e kushta-e-ġham vahī kar ga.e qaul jo yaar kiyā
tire bas meñ jo aa.e to ḳhaak hue jo ġhubār hue bhī to ḳhaak hue
rahe ba.ad-e-fanā bhī na chain se ham hameñ gardish-e-lail-o-nahār kiyā
kabhī sair-e-chaman kā na shauq huā kisī bazm kā ham ko na zauq huā
tire kūche ko jaan ke bāġh-e-iram yahīñ bulbul-e-jāñ ko nisār kiyā
jise chāhā dil us pe nisār kareñ kabhī god meñ leñ kabhī pyaar kareñ
ye burā.ī nasīb kī vā.e-sitam vo harīf huā jise pyaar kiyā
mujhe yaar ne aa ke jo dekhā hazīñ kahā ro.e ho maiñ ne kahā ki nahīñ
vo kahe ga.e āñkhoñ pe kyuuñ hai varam 'sharaf' un se bahāna hazār kiyā
Top Urdushayar.com