Agha Hajju Sharaf

ishq-e-dahan mein guzri hai kya kuchh na puchhiye

Agha Hajju Sharaf

Lucknow, Uttar pradesh, India

1812-1887
ishq-e-dahan meñ guzrī hai kyā kuchh na pūchhiye
nāguftanī hai haal mirā kuchh na pūchhiye
kyā dard-e-ishq kā hai mazā kuchh na pūchhiye
kahtā hai dil kisī se davā kuchh na pūchhiye
mahshar ke daġhdaġhe kā maiñ ahvāl kyā kahūñ
hañgāma jo huā so huā kuchh na pūchhiye
jab pūchhiye to pūchhiye kyā guzrī ishq meñ
ham se to aur us ke sivā kuchh na pūchhiye
kyā kyā ye sabz baaġh dikhātī hai naza.a meñ
dam de rahī hai jo jo qazā kuchh na pūchhiye
pūchhā jo ham ne gor-e-ġharībāñ kā jā ke haal
aa.ī ye turbatoñ se sadā kuchh na pūchhiye
qismat se pā.iye jo kabhī us ko ḳhush-mizāj
kyā kuchh na kahiye yaar se kyā kuchh na pūchhiye
ragḌī haiñ eḌiyāñ to huī hai ye mustajāb
kis ājizī se kī hai duā kuchh na pūchhiye
chhoḌā jo murda jaan ke sayyād ne mujhe
kyūñkar uḌā maiñ ho ke rihā kuchh na pūchhiye
tarsā kiyā maiñ daulat-e-dīdār ke liye
qismat ne jo sulūk kiyā kuchh na pūchhiye
ulfat kā naam le ke nazar-band ho ga.e
paa.ī jo pyaar kar ke sazā kuchh na pūchhiye
kyā sarguzisht gor-e-ġharībāñ kī maiñ kahūñ
ahvāl-e-bandagān-e-ḳhudā kuchh na pūchhiye
ḳhushbū ne aap kī jo sar-afrāz use kiyā
kis naaz se chalī hai sabā kuchh na pūchhiye
pūchhā 'sharaf' ke marne kā un se jo vāqi.a
āñkhoñ meñ ashk bhar ke kahā kuchh na pūchhiye
Top Urdushayar.com