Agha Hajju Sharaf

KHuda-malum kis ki chand se taswir miTTi ki

Agha Hajju Sharaf

Lucknow, Uttar pradesh, India

1812-1887
ḳhudā-ma.alūm kis kī chāñd se tasvīr miTTī kī
jo goristāñ meñ hasrat hai garebāñ-gīr miTTī kī
navāzī sarfarāzī ruuh ne tasvīr miTTī kī
ḳhushā-tāle ḳhushā-qismat ḳhushā-taqdīr miTTī kī
haqīqat meñ ajā.ib-shobada-pardāz-e-duniyā hai
ki jo insān kī sūrat thā vo hai tasvīr miTTī kī
jise ruuyā meñ dekhā thā milāyā ḳhaak meñ us ne
muqaddar ne hamāre ḳhvāb kī ta.abīr miTTī kī
mazāroñ meñ dikhā kar ustuḳhāñ hasrat ye kahtī hai
koī pursāñ nahīñ un kā ye hai tauqīr miTTī kī
ye nāhaq barhamī hai ḳhāksāroñ ke ġhubāroñ se
ḳharābī āñdhiyoñ ne kī hai be-taqsīr miTTī kī
vo vahshī thā ki mar ke bhī na maidān-e-junūñ chhūTā
mirī mayyat rahī sahrā meñ dāman-gīr miTTī kī
na lī turbat ko gulshan meñ jagah lī bhī to sahrā meñ
riyāzat sab hamārī tū ne ai taqdīr miTTī kī
mire sayyād ne jis jis jagah tuuda banāyā thā
vahāñ jā jā ke bū lete phire naḳhchīr miTTī kī
azal ke roz se ġhash haiñ jo insāñ ḳhāksārī par
sarisht un kī hai miTTī se ye hai tāsīr miTTī kī
ye aalam ho gayā hai jamte jamte gard-e-sahrā.ī
ki majnūñ pūchhtā hai kyā ye hai zanjīr miTTī kī
hamāre ḳhaak ke tuude ko nābūd aa ke kar deñge
nishānī bhī na chhoḌeñge tumhāre tiir miTTī kī
ijāzat se tumhārī guftugū kī sañg-rezo ne
barābar sunñe vāloñ ne sunī taqrīr miTTī kī
galī meñ yaar kī aise hue ho gard-ālūda
ki bilkul ho ga.e ho ai 'sharaf' tasvīr miTTī kī
Top Urdushayar.com