aag lagā dī pahle guloñ ne baaġh meñ vo shādābī kī
aa.ī ḳhizāñ gulzār meñ jab gul-barg se gulḳhan-tābī kī
kunj-e-lahad meñ mujh ko sulā ke pūchhte haiñ vo logoñ se
niiñd unheñ ab aa ga.ī kyūñ-kar kyā huī jo bad-ḳhvābī kī
soch meñ haiñ kuchh paas nahīñ kis tarah adam tak pahuñcheñge
aa ke safar darpesh huā hai fikr hai be-asbābī kī
abr hai giryāñ kis ke liye malbūs siyah hai kyuuñ is kā
sog-nashīñ kis kā hai falak kyā vaj.h abā-e-ābī kī
zer-e-mahal us shoḳh ke jā ke paañv jo ham ne phailā.e
sharm-o-hayā ne uThne na dī chilman jo chhuTī mahtābī kī
dil kā Thikānā kyā maiñ batā.ūñ haal na is kā kuchh pūchho
duur karo hogā vo kahīñ galiyoñ meñ aur sa.ī har baabī kī
dil na huā pahle jo bismil loTne se kyā matlab thā
dhuum thī jab ḳhush-bāshiyoñ kī ab shohrat hai betābī kī
sham.oñ kā āḳhir haal ye pahuñchā sabr paḌā parvānoñ kā
kavve uThā ke le ga.e din ko paa.ī sazā sartābī kī
ġhunche ḳhajil haiñ zikr se us ke tañg dahan hai aisā us kā
naam huā unaqā-e-zamāna dhuum uḌī nāyābī kī
bajre lagā.e logoñ ne lā ke un ke barāmad hone ko
ashkoñ ne mere rāh-e-vafā meñ aaj to vo sailābī kī
ḳhat nahīñ paḌtā mere gale par tishna-e-hasrat martā huuñ
teġh tirī be-āb huī thiiñ ārzūeñ ḳhush-ābī kī
rahm hai lāzim tujh ko bhī gulchīñ dil na dukhā tū bulbul kā
nik.hat-e-gul ne us se kashish kī taab na thī betābī kī
naza.a meñ yā-rab ḳhanda-jabīñ huuñ ruuh jo nikle ḳhush nikle
pesh-e-nazar aa.eñ jo farishte sūrat ho ārābī kī
kalġhī kī jā par taaj meñ rakh le zauq rahe pā-bosī kā
paa.e agar bilqīs kahīñ tasvīr tirī gurgābī kī
paḌh ke vazīfa ishq kā us ke tum jo taḌap ke rote ho
ruuh na ho tahlīl 'sharaf' hasrat se kisī vahābī kī