aañsū kī tarah poñchh ke pheñkā gayā huuñ maiñ
taarā huuñ aur zamīñ pe girāyā gayā huuñ maiñ
qurbān-gāh-e-ġham pe chaḌhāne ke vāste
bachpan meñ kitne pyaar se paalā gayā huuñ maiñ
tābish-gureziyoñ ko majāl-e-nazar kahāñ
chashma lagā ke dhuup kā dekhā gayā huuñ maiñ
go mā-varā-e-vaqt bhī hai mujh meñ ek chiiz
mīzān-e-sub.h-o-shām meñ taulā gayā huuñ maiñ
dam le ke lauT jā.ūñgā o mezbāñ zamīñ
qāsid banā ke duur se bhejā gayā huuñ maiñ
ai sākinān-e-shahr-e-ḳhamoshān-e-zindagī
paiġhām-e-hashr de ke utārā gayā huuñ maiñ
manzil kī qadr hotī hai āvārgī ke ba.ad
jannat se is liye bhī nikālā gayā huuñ maiñ
'kausar' libās-e-qahr meñ utrī haiñ rahmateñ
Thokar lagā ke raah pe laayā gayā huuñ maiñ