dil ko afsos-e-javānī hai javānī ab kahāñ
koī dam meñ chal baseñge zindagānī ab kahāñ
aap ulaTre haiñ vo parda vo kahānī ab kahāñ
āshiqoñ se guftugū hai lan-tarānī ab kahāñ
jab hamāre paas the un ko hamārā paas thā
thī hamārī qadr jab thī qadr-dānī ab kahāñ
ai parī-paikar tirā mere hī dam tak thā banāv
surḳh mūbāf o libās-e-za.afrānī ab kahāñ
bad-mizājī naujavānī ne sikhā.ī hai unheñ
dushman-e-jāñ ho ga.e haiñ mehrbānī ab kahāñ
yaar aa niklā thā ai dil phir vo kyuuñ aane lagā
ho gayā ik ye bhī amr-e-nā-gahānī ab kahāñ
ba.ad mere phir kisī ne bhī sunī āvāz-e-yār
thī mujhī tak lan-tarānī lan-tarānī ab kahāñ
baaġh meñ nahreñ bharī haiñ phuul phal kā thā mazā
band haiñ kunj-e-qafas meñ dāna-pānī ab kahāñ
terī aur apnī haqīqat jā ke iisā se kahūñ
is qadar tāqat bhalā ai nā-tavānī ab kahāñ
shefta jab tak na the shohrat thī zabt-o-sabr kī
dard-e-tanhā.ī kī taab ai yār-e-jānī ab kahāñ
dil meñ tāqat thī taḌap lete the bismil kī tarah
jaan meñ hālat nahīñ vo jāñ-fishānī ab kahāñ
ghuur lete the jafā-kāroñ ko jab maftūñ na the
ho ga.e chaurañg ḳhud chañgez-ḳhānī ab kahāñ
apnī qudrat us ne dikhlā dī shab-e-me.arāj meñ
ho chukī bas mehmānī mehmānī ab kahāñ
lahlahāte the chaman maftūñ guloñ par the bahār
luT ga.ī bū-bās ai barg-e-ḳhizānī ab kahāñ
hāl-e-dil kahvāte the jab qāsid aate jaate the
nāma-e-shauq aur paiġhām-e-zabānī ab kahāñ
dāġh-e-dil us ne diyā thā dil ko ham ne kho diyā
ai 'sharaf' us be-muravvat kī nishānī ab kahāñ