mausam-e-gul meñ jo ghir ghir ke ghaTā.eñ aa.iiñ
hosh uḌ jaate haiñ jin se vo havā.eñ aa.iiñ
chal base sū-e-adam tum ne bulāyā jin ko
yaad aa.ī to ġharīboñ kī qazā.eñ aa.iiñ
ruuh taazī huī turbat meñ vo ThanDī ThanDī
bāġh-e-firdaus kī har sū se havā.eñ aa.iiñ
maiñ vo dīvāna thā jis ke liye bazm-e-ġham meñ
jā-ba-jā bichhne ko pariyoñ kī ridā.eñ aa.iiñ
munkir-e-zulm jo jallād hue mahshar meñ
ḳhud gavāhī ke liye sab kī jafā.eñ aa.iiñ
mujrmoñ hī ko nahīñ zulm kā farmān aayā
be-gunāhoñ ko bhī likh likh ke sazā.eñ aa.iiñ
us kā dīvāna huuñ samjhātī haiñ pariyāñ mujh ko
sar phirāne ko kahāñ se ye balā.eñ aa.iiñ
tire bande hue kī jin se lagāvaT tū ne
ai parī-rū tujhe kyūñkar ye adā.eñ aa.iiñ
hashr mauqūf kiyā josh meñ rahmat aa.ī
zaar naale kī jo har sū se sadā.eñ aa.iiñ
lashkar-e-gul jo gulistāñ meñ ḳhizāñ par umDā
saath dene ko pahāḌoñ se ghaTā.eñ aa.iiñ
merī turbat pe kabhī dhuup na aane paa.e
shaam tak sub.h se ghir ghir ke ghaTā.eñ aa.iiñ
muñh chhupāne lage ma.ashūq javāñ ho ho kar
nek-o-bad kī samajh aa.ī to hayā.eñ aa.iiñ
ḳhaak uḌāne jo sabā aa.ī mirī turbat par
sar paTaktī huī rone ko ghaTā.eñ aa.iiñ
baḳhsh dī us ne mire ba.ad jo poshāk mirī
qais o farhād ke hissoñ meñ qabā.eñ aa.iiñ
rāhateñ samjhe hasīnoñ ne jo ī.zā.eñ diiñ
pyaar aayā to pasand un kī jafā.eñ aa.iiñ
aa gayā rahm use diiñ sab kī murādeñ us ne
ājizoñ kī jo sifārish ko duā.eñ aa.iiñ
mere sahrā kī ziyārat ko hazāroñ pariyāñ
roz le le ke sulaimān ko razā.eñ aa.iiñ
ai 'sharaf' husn-parastoñ ko bulā ke luuTā
in hasīnoñ ke diloñ meñ jo daġhā.eñ aa.iiñ