zinda hoñ is jahān meñ āḳhir koī javāz
in bastiyoñ kā ḳhvāb jo ab tak basīñ nahīñ
tum shoḳh ho to pyaar bhī merā sharīr hai
haañ haañ mire liye hai tumhārī nahīñ nahīñ
dil ho ki sar yahāñ to sarāpā-e-dard haiñ
aisā nahīñ ki dard kahīñ hai kahīñ nahīñ
elān-e-haq-shi.ār bhī hai phir gila bhī hai
nafrīn har kahīñ hai kahīñ āfrīñ nahīñ
kī umr ne vafā to inhoñ ne vafā na kī
dil meñ jo ārzūeñ kabhī thiiñ rahīñ nahīñ
paspā.ī pahle hī tirā maqsūm hai agar
tujh ko masāf-e-zīst meñ ye añgbīñ nahīñ
qariyoñ ke satr-posh junūñ ko salām-e-shauq
dāman nahīñ hai jeb nahīñ āstīñ nahīñ
in dostāñ meñ mashk-faroshāñ meñ mast huuñ
ḳhalvat meñ aa ke bhī jo mire aib-chīñ nahīñ