Rasheed Rampuri

tujhse wahshat mein bhi ghafil kab tera diwana tha

Rasheed Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1892-1964
tujh se vahshat meñ bhī ġhāfil kab tirā dīvāna thā
dil meñ terī yaad thī lab par tirā afsāna thā
raat jo zāhid sharīk-e-jalsa-e-rindāna thā
thī surāhī ḳhanda-lab gardish meñ har paimāna thā
mai-kada be-jām-e-chashm-e-yār mātam-ḳhāna thā
dīda-e-pur-ḳhūñ mirī āñkhoñ meñ har paimāna thā
ho gayā thā mujh ko jis din se asīrī kā ḳhayāl
merī āñkhoñ meñ to us din se chaman vīrāna thā
bazm-e-sāqī meñ tahī-dastī ne kho dī aabrū
baḳht-e-bad apnā sharīk-e-gardish-e-paimāna thā
maiñ gila qismat kā kartā thā to sote the nasīb
shikva-e-taqdīr bahr-e-ḳhvāb baḳht afsāna thā
baḌh ga.e miTne se tere dushmanoñ ke hausle
ai marīz-e-dard-o-ġham tujh ko abhī marnā na thā
maiñ ne nāhaq hī 'rashīd'-e-zār ko rusvā kiyā
aap ke sar kī qasam vo aap kā dīvāna thā
Top Urdushayar.com