Rasheed Rampuri

mere ghar ke log jo ghar mujhi ko supurd kar ke chale gae

Rasheed Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1892-1964
mire ghar ke log jo ghar mujhī ko supurd kar ke chale ga.e
mirā bār-e-ġham na uThā sake to mujhī pe dhar ke chale ga.e
kabhī ghar hamāre vo aa ga.e to likhā nasīb kā dekhiye
koī baat un se na ho sakī vo zarā Thahar ke chale ga.e
jahāñ lutf-e-sair na pā sake na jahāñ kā haal batā sake
jahāñ zindagī meñ na jā sake vahāñ log mar ke chale ga.e
koī baat un se karegā kyā vo javāb le ke phiregā kyā
unheñ dekh kar jo havās hī mire nāma-bar ke chale ga.e
hai sarā-e-dahar ajab makāñ jo musāfir aa ke rahe yahāñ
kabhī tiin din kabhī chaar din vo Thahar Thahar ke chale ga.e
nahīñ aaj rañg vo ḳhalq kā kabhī ye zamāne kā haal thā
hameñ sar pe apne biThā liyā jo kisī bashar ke chale ga.e
hai adam kā saḳht vo marhala jahāñ apnā apnā hai rāsta
vo safar nahīñ ye jo saath ham kisī ham-safar ke chale ga.e
tire pāsbāñ se tirā pata kabhī ham ne pūchhā to ye milā
ki makāñ se vo sar-e-shām hī kahīñ ban-sañvar ke chale ga.e
unheñ bazm-e-ġhair meñ dekh kar kaheñ kyā 'rashīd' ki kyā huā
kabhī zabt kar ke Thahar ga.e kabhī aah bhar ke chale ga.e
Top Urdushayar.com