hirās hai ye azal kā ki zindagī kyā hai
ḳhudā nahīñ hai to logo umiid bhī kyā hai
kisī kā ras koī parvāz-e-rañg kī manzil
azār-e-lāla-e-sahrā kī tāzgī kyā hai
jo hai vo kuchh bhī nahīñ jo nahīñ vo sab kuchh hai
mire ḳhudā ye tamannā kī sāhirī kyā hai
tamām husn-e-jahāñ nā-tamām hai ki nahīñ
ye apsarā kā tasavvur ye jal-parī kyā hai
sab apnī samt ishāra kareñ agar pūchho
ki haq kidhar hai zamāne meñ rāstī kyā hai
diloñ ne umr bhar āvāz dī hai sīnoñ se
kisī ne jhūToñ bhī pūchhā nahīñ kabhī kyā hai
ye gher gher ke kyuuñ hāl-e-dil sunāte ho
yahāñ kisī ko kisī kī miyāñ paḌī kyā hai
batāo kaun se dānish-kade meñ paḌhne jaa.eñ
kahāñ nisāb meñ ye hai ki aadmī kyā hai
kabhī kabhī kī tursh-rūī-e-jamāl kī aan
ye añgbīñ meñ bhī thoḌī sī chāshnī kyā hai
diyā to ḳhud mirī ham-ḳhvāb ne bujhāyā thā
to phir ye sej pe tāroñ kī chhāñv sī kyā hai
tire uchaTte ishāre pe vaar duuñ jānāñ
hazār zindagiyāñ ek zindagī kyā hai