kahte ho mujhe be-adab ḳhair maiñ be-adab sahī
tum se shikāyat-e-sitam jab na sahī to ab sahī
bazm-e-azā-e-dost meñ ġham na sahī tarab sahī
hañs na sako jo khul ke tum to ḳhanda-e-zer-e-lab sahī
jitnī hoñ mehrbāniyāñ rakhiye vo ġhair ke liye
aur sitam hoñ jis qadar mere liye vo sab sahī
mujh par agar karam nahīñ us kā mujhe alam nahīñ
koī na koī baat ho qahr sahī ġhazab sahī
lutf-e-karam na ho na ho kam hai vo kyā atā ho jo
kāvish-e-be-sabab sahī kulfat-e-be-talab sahī
shauq se kah ke bad-nasīb aap use pukāriye
naam 'rashīd' hai to ho aur bhī ik laqab sahī