chhuT ga.e ham jo asīr-e-ġham-e-hijrāñ ho kar
uḌ gayā rañg-e-ruḳh-e-yār pareshāñ ho kar
kūcha-e-yār se uTThe na pareshāñ ho kar
mil ga.e ḳhaak meñ ḳhāk-e-dar-e-jānāñ ho kar
saath apne dil-e-bīmār ko lete jaao
kyuuñ hoñ ham tum se ḳhajil tālib-e-darmāñ ho kar
na gila tum se sitam kā na vafā kā shikva
kyā karoge mire ahvāl ke pursāñ ho kar
haal apnā jo bayāñ kartā huuñ logoñ se 'rashīd'
dekhte haiñ mirī sūrat vo pareshāñ ho kar