Rasheed Rampuri

ahl-e-nazar ki aankh mein husn ki aabru nahin

Rasheed Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1892-1964
ahl-e-nazar kī aañkh meñ husn kī aabrū nahīñ
yaanī ye gul hai kāġhzī rañg hai jis meñ bū nahīñ
dil ko na ranj dījiye shauq se zab.h kījiye
aap kī teġh teġh hai merā gulū gulū nahīñ
dushman o dost ke liye chāhiye shukr-e-teġh-e-nāz
kaun hai qatl-gāh meñ aaj jo surḳh-rū nahīñ
aap se dil lagā.ūñ kyuuñ jaur-o-sitam uThā.ūñ kyuuñ
ab to sukūñ se kaam hai dard kī justujū nahīñ
bazm-e-suḳhan meñ ai 'rashīd' naġhme se mujh ko kaam kyā
shā.ir-e-shoḳh-fikr huuñ mutrib-e-ḳhush-gulū nahīñ
Top Urdushayar.com