tark-e-sitam pe vo jo qasam khā ke rah ga.e
armān dil meñ arz-e-tamannā ke rah ga.e
tum kahte kahte ham se jo sharmā ke rah ga.e
kyā baat thī jo tā-ba zabāñ lā ke rah ga.e
detā hai saath kaun kisī kā pas-e-fanā
sab dost tā lahad mujhe pahuñchā ke rah ga.e
yā maiñ ne rāh-e-ishq-o-vafā se gurez kī
yā ham-nafas mire mujhe samjhā ke rah ga.e
achchhā huā na un kā marīz-e-shab-e-firāq
sab mojaze janāb-e-masīhā ke rah ga.e
duniyā se jaane vāloñ kā koī pata nahīñ
yā rab mire ye log kahāñ jā ke rah ga.e
kyā un se uTh sakeñgī mohabbat kī saḳhtiyāñ
jo paañv rāh-e-ishq meñ phailā ke rah ga.e
taqdīr meñ qafas ho to kyā is se fā.eda
do din agar chaman kī havā khā ke rah ga.e
phirte ho ai 'rashīd' jo tum us ke saath saath
ban kar ġhulām kyā dil-e-shaidā ke rah ga.e