aise mantar bhī ho ga.e ījād
laxmī bhī sarasvatī bhī milī
vo jo ham-manzilī nahīñ bhūle
un ko taufīq-e-ham-ravī bhī milī
dushmanoñ hī se dushmanī bhī milī
aur dar-parda rahbarī bhī milī
dost hī jaan ko bhī aate rahe
dostoñ hī se zindagī bhī milī
apne pyāroñ se pyaar ham ko to thā
rañj paa.e magar ḳhushī bhī milī
justujū kī mazīd baḳhshī dekh
gul jo DhūñDā bakāvlī bhī milī
zindagī thī faqat nasheb-o-farāz
yā kabhī sat.h-e-mustavī bhī milī
mūslā-dhār ne.amateñ barsīñ
un meñ kotāh-dāmanī bhī milī