haiñ sar-nigūñ jo tāna-e-ḳhalq-e-ḳhudā se ham
kyā ho ga.e kisī kī mohabbat meñ kyā se ham
ab tak kabhī ke miT ga.e hote jafā se ham
zinda haiñ ai 'rashīd' kisī kī duā se ham
yaad aa ga.e jab apne gale meñ vo dast-e-nāz
ro.e lipaT lipaT ke tire naqsh-e-pā se ham
bīmār-e-dard-e-hijr kī pursish se fā.eda
achchhe haiñ yā bure haiñ tumhārī balā se ham
paidā hue haiñ phir se ye samjheñge ai 'rashīd'
jiite bache jo chāragaroñ kī davā se ham