qaid meñ rakkhā gayā qatra to ġhaltāñ ho gayā
nuur kī nahroñ ko nā-paidā karāñ honā hī thā
shohra haikal ke liye āvāza paikar ke liye
har tavānā.ī ko benām-o-nishāñ honā hī thā
ham ne kuchh yuuñ hī nahīñ jhelā thā qarnoñ kā azaab
āḳhir us dair-āshnā ko mehrbāñ honā hī thā
tañg jab kar dī ga.ī ham par zamīñ karte bhī kyā
lāziman ham ko zamīñ se āsmāñ honā hī thā
kahkashāñ kī samt uThne the abad-paimā qadam
jānib-e-sayyār tayyāra ravāñ honā hī thā
thā qafas meñ bhī to thā favvāra-e-āhañg-o-rañg
is parinde ko to jannat-āshiyāñ honā hī thā