haiñ be-niyāz-e-ḳhalq tirā dar hai aur ham
terī galī hai ḳhaak kā bistar hai aur ham
sajdoñ se raat din ke hai tauhīn-e-bandagī
sar toḌne ke vāste patthar hai aur ham
is ḳhauf se ki paañv na khul jaa.e ġhair kā
din raat kū-e-yār kā chakkar hai aur ham
kaisā ḳhulūs kis kī mohabbat kahāñ kā ishq
mahshar meñ dāman-e-but-e-ḳhud-sar hai aur ham
go harf harf Daal diyā un ke kaan meñ
aage 'rashīd' apnā muqaddar hai aur ham