Rasheed Rampuri

dil ki kya qadr ho mehman kabhi aae na gae

Rasheed Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1892-1964
dil kī kyā qadr ho mehmāñ kabhī aa.e na ga.e
is makāñ meñ tire paikāñ kabhī aa.e na ga.e
aap ishq-e-gul-o-bulbul kī ravish kyā jāneñ
andarūn-e-chamanistāñ kabhī aa.e na ga.e
ham ne ghar apnā hī vahshat meñ bayābāñ samjhā
bhuul kar sū-e-bayābāñ kabhī aa.e na ga.e
phir bhī karte haiñ bayāñ mulk-e-adam kā ahvāl
jiite jī hazrat-e-insāñ kabhī aa.e na ga.e
samjheñ vo kyā ki haiñ kis haal meñ āsūda-e-ḳhāk
jo sar-e-gor-e-ġharībāñ kabhī aa.e na ga.e
rakh liyā ishq meñ ashkoñ ne bharam rone kā
ye guhar tā sar-e-mizhgāñ kabhī aa.e na ga.e
qadr kyā ahl-e-zamāna ko hamārī ho 'rashīd'
ham kahīñ ban ke suḳhan-dāñ kabhī aa.e na ga.e
Top Urdushayar.com