Shmashad shad

zinda rahe to hum ko na pahchan di gai

Shmashad shad

Nagpur, Maharashtra, India

1963
zinda rahe to ham ko na pahchān dī ga.ī
marne ke ba.ad ḳhuub pazīrā.ī kī ga.ī
kyā kyā sitam hue haiñ mere saath bārhā
dhoke se kitnī baar mirī jaan lī ga.ī
siine se mere noch lī tasvīr-e-yār bhī
shiryān-e-zindagī hī mirī kaaT dī ga.ī
tanhā.iyoñ meñ maiñ terī yādoñ ke saath thā
mahfil sajī to yādoñ se vābastagī ga.ī
is lā-davā maraz kā asar pūchhte ho kyā
dil ne diyā na saath to tanhā.ī bhī ga.ī
dariyā masarratoñ kā to ab suukh hī gayā
ḳhūn-e-jigar piyā to mirī tishnagī ga.ī
detā javāb kyā maiñ takallum kā yaar ke
us kī nigāh-e-nāz mire hoñT sī ga.ī
arbāb-e-ilm-o-fan kī tavajjoh huī to 'shād'
mahfil meñ tere fan ko bhī pahchān dī ga.ī
Top Urdushayar.com