dil par sitam hazār kare bevafā ke lab
barchhī kabhī kaTār lage dilrubā ke lab
guft-o-shunīd meñ baḌe bebāk haiñ magar
dekhā mujhe to khul na sake lab-kushā ke lab
guftār-o-ān-bān kā aalam na pūchhiye
ḳhush-rañg-o-jāñ-fazā haiñ mire ham-navā ke lab
ho jaa.e pal meñ ḳhaak vo jis ko ye chuum leñ
jalte hue sharāre haiñ jān-e-adā ke lab
bosa liyā to husn ne sharmā ke yuuñ kahā
raushan kiye haiñ aap ne mehr-o-vafā ke lab
ma.asūmiyat to dekhiye ba.ad-e-shab-e-zifāf
ma.ashūq shikva-sanj huā hai dikhā ke lab
bāġhoñ se ham jo guzre to phūloñ ne dī sadā
kitne hasīñ haiñ 'shād' tirī dilrubā ke lab