qalb kā ehtijāj hotā hai
aur kyā iḳhtilāj hotā hai
sab natīja hai apnī karnī kā
ye jo duniyā meñ aaj hotā hai
ye bhī rañgat badaltī hai apnī
laash kā bhī mizāj hotā hai
mahv hote haiñ ishq meñ jo log
un se kab kām-kāj hotā hai
bach ke chaltā hai har koī us se
shaḳhs jo bad-mizāj hotā hai
maslak-e-ishq meñ to kasrat se
zulm sahnā rivāj hotā hai
ishq kyā hai tumheñ ye batlā duuñ
rog ye lā-ilāj hotā hai
mere mahbūb pairahan meñ tire
rañgoñ kā imtizāj hotā hai
koī sho.aba ho āj-kal to 'shād'
nazr-o-rishvat kā raaj hotā hai