Shmashad shad

hae kya haal kar liya dil ka

Shmashad shad

Nagpur, Maharashtra, India

1963
haa.e kyā haal kar liyā dil kā
zaḳhm ab tak nahīñ siyā dil kā
aa ke sūrat dikhā in āñkhoñ ko
bujh na jaa.e kahīñ diyā dil kā
kal talak thā vafā kā saudā.ī
aaj paḌhtā hai marsiya dil kā
tole ehsās kī kasauTī par
hai judāgāna zāviya dil kā
koī rough-work kā nishāñ bhī nahīñ
ḳhālī ḳhālī hai hāshiya dil kā
kāmyābī kā inhisār us par
ham ko karnā hai tasfiya dil kā
pyaas lagtī nahīñ kabhī us ko
ḳhuun jis ne bhī pī liyā dil kā
nasr meñ guftugū kareñ kyūñkar
jab hai andāz nazmiya dil kā
jab nahīñ sūjhtā mujhe kuchh aur
bāñdh letā huuñ qāfiya dil kā
'shād' ham ne to de diyā thā use
kyā pata us ne kyā kiyā dil kā
Top Urdushayar.com