Shmashad shad

tamam KHushiyan tamam sapne hum ek duje ke nam kar ke

Shmashad shad

Nagpur, Maharashtra, India

1963
tamām ḳhushiyāñ tamām sapne ham ek duuje ke naam kar ke
nibhā.eñ ulfat kī saarī rasmeñ vafāoñ kā ehtimām kar ke
na duur dil se kabhī tū jaanā dil-o-jigar meñ maqām kar ke
piyāla-e-ishq ulaT na denā ai sāqiyā mai-ba-jām kar ke
rahī na mujh meñ sakat zarā bhī ki zulm tere sahūñ musalsal
milegā kyā tujh ko ai sitamgar ġhamoñ kā yuuñ azhdahām kar ke
maiñ in kī nazroñ ke tiir khā kar taḌap rahā huuñ yahāñ pe lekin
vo kitne be-fikr lag rahe haiñ sukūn merā harām kar ke
miTānī hai jo diloñ kī duurī to falsafa hai ye āzmūda
charāġh-e-ulfat jalā.eñ ham tum diloñ kī nafrat ko raam kar ke
masarratoñ ke husūl kā hai jahāñ meñ bas ik yahī tarīqa
ki sādgī se nibāh kar lo talab ke jin ko ġhulām kar ke
jahān-e-dil kī is iztirārī se bāhar aa kar chalo chaleñ 'shād'
ḳhushī kī mahfil ko phir sajā.eñ udāsiyoñ ko harām kar ke
Top Urdushayar.com