Shmashad shad

gili miTTi se badan bante hue umr lagi

Shmashad shad

Nagpur, Maharashtra, India

1963
giilī miTTī se badan bante hue umr lagī
mujh ko sahrā se chaman bante hue umr lagī
puḳhtagī fikr meñ yak-laḳht kahāñ aatī hai
merī sochoñ ko suḳhan bante hue umr lagī
ibn-e-ādam kī havas se milī sadiyoñ meñ najāt
bint-e-havvā ko dulhan bante hue umr lagī
farq hālāñki bahut thoḌā hai donoñ meñ magar
sar ke āñchal ko kafan bante hue umr lagī
ham to samjhe the vo mahkegā guloñ kī mānind
par use ġhuncha-dahan bante hue umr lagī
chand lamhoñ meñ taġhayyur ye nahīñ aayā hai
chhal ko duniyā kā chalan bante hue umr lagī
maiñ to bas itnā kahūñgā mirī māyūsī ko
'shād' aashā kī kiran bante hue umr lagī
Top Urdushayar.com