Shmashad shad

tujhe dil mein basaenge tere hi KHwab dekhenge

Shmashad shad

Nagpur, Maharashtra, India

1963
tujhe dil meñ basā.eñge tire hī ḳhvāb dekheñge
miTeñge terī chāhat meñ vafā ke baab dekheñge
ye āñkheñ yaar ke dīdār kī pyāsī haiñ muddat se
vo aa.eñ baam par to jalva-e-mahtāb dekheñge
ḳhumār-e-ḳhud-parastī bhī kabhī utregā maujoñ kā
to phir ai qulzum-e-hastī tujhe pāyāb dekheñge
rasā.ī jo tirī mahfil talak ik baar ho jaa.e
tujhe nazdīk se ai gauhar-e-nāyāb dekheñge
sunā hai niiñd ke aalam meñ vo masrūr lagte haiñ
to phir ḳhvāboñ meñ us zālim ko mahv-e-ḳhvāb dekheñge
tire nām-o-nasab se kyā ġharaz ai dushman-e-jānāñ
mile zaḳhmoñ se fursat to tire alqāb dekheñge
koī mūsā-sifat aa kar Dubo.e zulm kā lashkar
tabhī ham aaj ke fir.aun ko ġharqāb dekheñ dekheñge
lab-e-sāhil se dekhe haiñ nazāre 'shād' maujoñ ke
junūn-o-shauq kī zid hai ki ab girdāb dekheñge
Top Urdushayar.com